Yahan ki holi raas na aayi
apni mohalle wali jab yaad aayi
Is waqt jab ghar me sab khele holi
Hum kare yahan office k bench se humjoli
Bhala bin gulal ke bahar nikalte kaise hai
Rang bina, holi ka din nibhate kaise hai
Bachpan se to suna tha ye rango ka tyohar hai
Yahan to lage jaise rangon ko bukhar hai
Apne sehar me bhang se bhari pyali mil jati thi
Har chowrahe pe ek naye toli mil jati thi
Sakal to sabki dekhne layak hoti hai
Pehchan na sako kaun, tab hi holi hoti hai
Isliye maan abhi bhi un galiyon me ghume
Rangon bhari pichkari jahan badan ko chumme
Jahan har ghar me mithai pakwaan sajti hai
Usi rang me dubne dil kitna machalti hai